Hum ne chaha bhi to izhar karna na aaya
Kat gayi umar sari per humein pyar karna na aaya
Is ne mangi bhi to sirf judayi mangi
Aur humein inkar karna na aaya
Kitna bhi chaho na bhol pao ge hamain,
Jitna dur jao nazdik pao ge hamain,
Mita sakte ho to mita do yadain meri,
Magar kya sapno se juda kar pao ge hamain?
Jate jate wo achhi nishani de gayi
Umar bhar dohora sakoo aisi kahani de gayi
Mein to us ki mohabbat ka pyasa reh gaya
Par wo meri palko ko pani de gayi
Yaadon ka ek jhoka aaya, Hamse milne barson baad
Pehle itna nahi roye, Jitna aaj roye barson baad
Lamha-lamha ghar ujda hai, Mushkil se ehsaas hua
Pathar aye the barso pehle, Dil tuta barson baad
Mere pyar ko dunia mein koi na samaj na paya,
Roti thi jab tanha koi mere saath na aaya,
Mita diya khud ko unke liye pyaar mein,
Aur wo kehte hain ki mujhe pyaar karna na aaya